Friday, 1 April 2011


mein jaanta hoon k tum

ab bhi mujhe yaad kerti hogo,

ab bhi meri raah takti hogi,

meri yaadon k asaason ko

apne sarhaane hi rakhti hogi,

jab bhi us raste se guzarti hogi

aik lamhe ko thithakti hogi,

meri beemaar mohabat k liye

ab bhi muztarab raha kerti hogi, 

meri tehreeron ko parti hogi,

in mein pinhaan chuur jazbon se,

ik yahi baat poochti hogi

tum tou kehte the

mein tumahra hoon

meri ulfat pe haq tumara hai

yeh meri zindagi, chaar din ki sahi

es ka her aik lamha tumahra hai

mera din teri aankhon mein dhuuba rehe ga

meri shab teri zulfon mein khoii rehe gi

mein ne her pal tere naam hai ker diya

jo mere paas hai, ab woh sab hai tera

tera her dukh mere naam hota rehe ga

aur meri her khushi ho tere waastey

gar yeh haalaat the, gar yehi thi woh chhaahh,

tou phir yeh tou bataa!!!!!

meri khushiyun ko akhir kehaan le gaya ?

kiyun meri raah mein kaante bikhraa gaya ?

aakhir aisa mere saath hi kiyun huwa ?

tuu kehaan kho gaya, tuu kehaan kho gaya~~~~?

mein bas itna kehoonga k jo bhi huwa

kuch thi meri khataa!!!~~~kuch lakeeron mein tha!!

No comments:

Post a Comment