Friday 20 May 2011

Sabhi nagme saaz mein gaye nahi jaate, 

sabhi log mehfil mein bulaaye nahi jaate, 


kuch paas reh kar bhi yaad nahi aate, 


kuch dur reh kar bhi bhoolaye nahi jaate...



Wednesday 18 May 2011


Zindagi mein kai mushkilein aati hain,

Aur insaan zinda rehne se ghabrata hai,

Na jaane kaise hazaaron kaanton ke beech,
Reh kar bhi ek phool muskurata hai.


Bhujhi shamaa bhi jal sakti hai,

Toophaan se kashti bhi nikal sakti hai,

Hoke maayus yoon na apne iraade badal,
Teri kismat kabhi bhi badal sakti hai.

Jo beet gayi so beet gayi,

Jo beet gayi so beet gayi,

Jo chal rahi hai wo batate hain,

Ab to jahan bhi chale jate hain

Wahan jaa kar chaa jate hain.


A-safalta ek chunauti hai swikaar karo,

Kya kami reh gayi dekho aur sudhaar karo,

Kuch kiye bina hi jai-jai kaar nahi hoti,

Himmat karne vaalon ki kabhi haar nahi hoti!!

Dubkiyan samundar mein gotakhor lagata hai,

Ja-ja kar khaali haath laut aata hai,


Milte na sehej se moti paani mein,


Behta duguna utsah isi hairani mein,


Mutthi uski khaali har baar nahi hoti,


Himmat karne vaalon ki haar nahi hoti!

Lehron se darr kar nauka paar nahi hoti,

Himmat karne vaalon ki haar nahi hoti,

Nanhi cheenti jab dana lekar chalti hai,

Chadti deewaron par se saw baar fisalti hai,

Mann ka vishwaas ragon mein sahas bharta hai,

Chadkar girna,girkar chadna naak ragardta hai,

Aakhir uski mehnat bekaar nahi hoti,

Koshish karne vaalon ki haar nahi hoti!


koshishon ke bawajood....

ho jaati hai kabhi haar...


hoke niraash mat baithna...


mann ko apne maar...


badte rahna aage sada...


ho jaisa bhi mousam...


paa leti manzil chinti bhi...


gir gir ke har baar...
parindon ko manzil milengi yakeenan

yeh faile hue unke par bolte hai

wohi log rehte hai khaamosh aksar


zamaane mein jinke hunar bolte hai....
Tufaan ki kami nahi jeevan mein

ladte hue safar karna hoga


jo milenge zakhm safar-e-rahon mein


unhe hi zindagi ka tajurba kehna hoga


laakh zakhm khaane par bhi


har zakhm naya hoga


tajurba kitna hi kyu na ho


har safar naya hoga
Hoke maayus na yu shaam ki tarah dhalte rahiye

Jindgi ek bhor hai suraj ki tarah nikalte rahiye


Tharoge ek paav par to thak jaaoge


Dheere dheere hi sahi magar raah par chalte rahiye..




`
Mushkile dilo ke iraade azmayegi


Khwaabo ke parde nigaaho se hatayegi


Girkar tujhe hai smabhalna


Yeh thokaren hi tujhe chalna sikhayegi…
Jindagi ki asli udaan abhi baaki hai

Jindagi ke kai imtehan abhi baaki hai


Abhi to naapi hai mutthi bhar zamin humne


Abhi to sara aasman baaki hai…




`
Apne saaye se bhi ashkon ko chupa kar rona


Jab bhi rona to chiragon ko bujha kar rona


Jahan chot khana wahan muskurana


Magar is ada se ke roye sara zamana…

Taaron mein akela chaad jagmagata hai.....

mushquilo mein akela insaan dagmagata hai....

kaate se ghabrana mat mere dost.....

kyoki kaaton mein hi akela gulab muskurata hai.....

Soch ko badlo, sitare badal jayenge..........

Najar ko badlo, nazare badal jayenge...........

Kashtiya badalne ki jarurat nahi................

Dishaon ko badlo, KINARE badal jayenge..............

Apne hathon ki lakeeron ko kya dekhta ho? 

Kismat to unki bhi hoti hai jinke haath nahi hote........

Taalim nahi di jaati parindo ko udaano ki........

woh to khud hi samajh jaate hain ucchai aasmano ki......

Taalim nahi di jaati parindo ko udaano ki........

woh to khud hi samajh jaate hain ucchai aasmano ki......

Aankhon mein manzilein thi.........
gire aur sambhalte rahe..........
aandhiyon mein kya dum tha..........
chiraag hawa mein bhi jalte rahe.........
Jiski aarzu thi usika hi pyar na mila.

Barso jiska intazar kiya usika hi sath na mila.


Ajib khel hai ye mohabbt ka


kisiko hum na mile aur koi hume na mila..
Dosti Najaro Se Ho To Kudrat Kehte Hai,

Sitaro Se Ho To Jannat Kehte Hai
,


Husn Se Ho To Mohbbat Kehte Hai

Aur Hamse Ho To Use Kismat Kehte Hain !!
Ye Dost B Ajeeb Hotay Hain,
Denay Pay Aaen To Jan Day Dain,
Lenay Pay Aaen To Hansi Tak Cheen Lain,
Kehnay Pay Aaen To Dil K Tmam Khano K Raz Tak Keh Dain,
Chupanay Pay Aaen To Ye Tak Na Btaen K Khafa Q Hain,
Naraz Honay Pay Aaen To Sans Tak Na Lenay Dain,
Mnanay Pay Aaen To Apni Sanso Ko War Dain,
Bus Dost Zindagi Mein Nahi Mila Krtay Blkay,
Zindagi Doston Men Mila Krti Hy….

Saturday 14 May 2011


Mene usey pyar likh bejha…haal-e-dil paigam likh bheja…

mene poocha tere hooth kaise hai..usne jaam likh bheja..

mene poocha tere baal kaise hai..usne kudrat ka inaam likh bheja..

mene poocha itna tadpate kyon ho..usne javani ka intekaam likh bheja..

mene poocha kab hogi mulakaat..usne Quamat ke shaam likh bheja…
mene poocha tumhe nafrat kis se…ZALIM ne mera NAAM likh bheja….!!!!!!!!!


Unhey To Fursat Nai Milne Ki Humse,

 Aur Hamara Waqt Gujarta Hai Unki Farirayad Karke..

Agar Aye Wo Meri Maut Pe,

 To Keh Dena Abhi Soye Hain Tumhe Yaad Karke….



Har Dil Ka Ek Raaz Hota Hai, 

Har Baat Ka Ek Andaz Hota Hai ..

Jab Tak Na Lage Bewafai Ki Thokar ,

 Har Kisi Ko Apni Pasand Par Naaz Hota Hai..

Karni Hai Khuda Se Ek Guzarish.

Teri Dosti K Siwa Koi Bandagi Na Mile….!

Har Janam Mai Maile Dost Tere Jaisa 

. Ya Fir Kabhi Dosti Na Mile ………….

Samjha Na Koi Dil Ki Bat Ko,

 Dard Duniya Ne Bina Soche Hi De Dia ,

Seh Gaye Jo Gum Hum Chupke Se, 

To Tumne Humko Hi Pathar Dil Keh Dia….


Ishq Karne Wale Aankho Se Ankho Ki Baat Samajh Lete Hain,

Sapno Mai Mil Jaye To Mulakaat Samajh Lete Hain ,

Rota To Ye Aasman Bhi Hai Apni Dharti K Liye

, Par Log Use Barsaat Samajh Lete Hain………

Dil Todna Saza E Mohabbat Hai, 

Dil Jodna Ada E Dosti Hai,

Mangti Hai Mohabbat Har Pal Qur Baniya, 

Bin Mange Hojo Qurban Wo Dosti Hai….

Na Thi Jisko Mere Mere Pyaar Ki Kadar,

 Ittefaq Se Usi Ko Chah Raha Tha Main,

Usi Diye Ne Jalaya Mere Hathon Ko,

 Jisko Hawa Se Bacha Raha Tha Mai…….

Jinki Tamana Dil Mai Thi …

Judai Ab Hum Unki Sehte Hain…..

Furasat Nahi Unhe Humse Kuch Batein Karne Ki…

Isliye Ab Hum Har Waqt Khamosh Rehte Hain…….(

Kya Mangu Khuda Se Tumhe Pane K Baad,

 Kiska Karun Intezaar Tere Ane K Baad ,

Kuy Dosti Mai Jaan Luta Dete Hain Log,

 Mujhe Malum Hua Tumhe Dost Banane K Baad ….

Tujhe Tab Bhi Dost Milte Rahen,

 Jab Duniya Mai Hum Na Ho….

Sabki Zindagi Mein Khusiyan Dene Wale Dost,

 Teri Zindagi Mein Koi Gam Na Ho,

Dil Mai Hai Jo Dard Wo Dard Kisse Bataein,

 Haste Hue Ye Zakhm Kise Dikhayen,

Kehti Hai Ye Duniya Hume Khush Naseeb

 Magar Is Naseeb Ki Dastaan Kise Batein…..

Zindagi Mein Aise Mauke Aate Hain,

 Kuchh Lamhe Hasate Hain Kuchh Rulate Hain.

Kisi Bahane Hamein Yaad Karte Rehna,

 Warna Aajkal Log Naam Tak Bhool Jate Hain.


Hazaro Jhopdiya Jalkar Rakh Hoti Hai,

 Tab Jakar Kahi 1 Mahal Banta Hai.

Aashiqo Ke Marne Pe Kfan Bhi Nhi Milta,

Or Hasinao Ke Marne Pe Tajmahal Bnta Hai.

Unhone Apna Kabhi Bnaya Hi Nhi,

 Jootha Hi Sahi Pyar Dikhaya Hi Nhi.

Galtiyan Apni Hum Maan B Jaate,

 Par Kya Kare Kasoor Hmara Hume Btaya Hi Nhi.

Tanha Hai To Kya Gam Hai
Juda Hue To Kya Gam Hai
Zinda Hai Hum Isi Ummeed Se
Wo Ayenge Hamse Milne
Ye Taqdeer Hogi Hamari
Shayad Unke Dil Me Bhi Tasveer Hogi Hamari

Jabse Is Dil Par Tumhara Naam Aya Hai
Ek Surur Sa Har Waqt Chaya Hai
Na Jane Ye Sharab Ka Nasha Hai
Ya Tumhare Deedar Ka Nasha Hai
Har Paimane Par Hame Apka Hi Chehra Najar Aya Hai

Hum Na Rahenge Fasane Na Rahenge
Phir Yaad Aane Ke Zamane Na Rahenge
Tum Yaad To Karoge Hume
Magar Paas Bulane Ke Bahane Na Rahenge…

Ek Ajnabi Se Baat Kya Ki Kayamat Ho Gayi
Sare Shaher Ko Is Chahat Ki Khabar Ho Gayi
Kyu Na Dosh Du Di-E-Nadan Ko Kyu Ki
Dosti Ka Irada Tha Aur Mohabbat Ho Gayi…

Mehfil Ko Yaaro Jab Bhi Sajaya Gaya
Usme Mujhe Isharo Se Bulaya Gaya
Jab Bhi Zarurat Padi Unhe Roshni Ki
To Mujh Gareeb Ka Hi Dil Jalaya Gaya…

Mujhko Phir Wahi Suhana Nazara Mil Gaya
Nazro Ko Jo Deedar Tumhara Mil Gaya
Aur Kisi Cheez Ki Tamanna Kyu Karu
Jab Mujhe Teri Baaho Mein Sahara Mil Gaya…

Pyar Ki Wo Misaal Banayege Hum,
Aankhen Band Karoge To Nazar Aayenge Hum.
Bhar Denge Itna Pyaar Dil Mein K,
Khud Se Pehle Yaad Aayenge Hum…
Tere Intazaar Ka Ye Alam Hai,

Tadapta Hai Dil Aakhein Bhi Nam Hai,


Teri Aarzoo Mein Jee Rahe Hai,


Warna Jeene Ki Khwahish Kam Hai..




`
Ashik Tu Soch Tera Kya Hoga Kyuki,


Hashar Ki Parvah Main Nahi Karta,



Fanah Hona Rivayat Hai Tumhari,

Ishq Naam Hai Mera Main Nahi Marta.
.
Meri Band Aankhoin Ka Saccha Kwaab Ho Tum,

Meri Tanhaio Ke Sawalo Ka Javab Ho Tum,


Ab To duniya Bhi Ruth Jaye To Gum Na Hoga


Meri Duniya, Kaynaat Mera Chaand Ho Tum…




`
Tum Chahe Izhaar Na Karo,


Hame To Tumhari Khamoshi Bhi Utni Hi Pyari Hai,


Tum Milo Na Milo,


Tumhari Yaadein Bhi Tum Jaisi Pyari Hai…

`

Meri Band Aankhoin Ka Saccha Kwaab Ho Tum,

Meri Tanhaio Ke Sawalo Ka Javab Ho Tum,


Ab To duniya Bhi Ruth Jaye To Gum Na Hoga


Meri Duniya, Kaynaat Mera Chaand Ho Tum…




`
Tum Chahe Izhaar Na Karo,


Hame To Tumhari Khamoshi Bhi Utni Hi Pyari Hai,


Tum Milo Na Milo,


Tumhari Yaadein Bhi Tum Jaisi Pyari Hai…

`


Teri judai bhi hamein pyaar karti hai,
Teri yaad bahut bekrar karti hai,
Woh din jo tere sath guzare the,
Talash unko nazar bar bar karti hai.
`
Ishq ke sahare jiya nahi karte,
Gum ke piyalon ko piya nahi karte,
Kuch isse dost hain hamare,
Jinko pareshan na karo,
Toh wo hamain yaad kia nahi karte.

Suna hai aap dosto ki jaan hai,


sms se aapki pechaan hai,

udaas chero ki aas hai,


tabhi to aap ek dost khaas hai.




`


Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai,


Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai,


Use pana nahi meri taqdeer mein shayad,


Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai.
`

Kiss kisi ki mahfil main,

Kiss kisi kiss kisi ko kiss kiya.


Ek hum hai jis ne her kiss ko miss kiya,


Aur ek aap hai jis ne her miss ko kiss kiya.






`
Dil ke dard ko dil torne wale kya jana,


Pyar ki rasmo ke yeh zamane wale kya jane,


Hoti hai kitni takliff kabar ke niche,



Yeh upar se phool charane wale kya jane

Chahat Ki Akhiri Had Tak
Dil Ki Poori Gehrai Se
Saara Jeevan Chahen Usko
Aur Usay Maloom Na Ho
Aksar Yun Bhi Hota Hai…
`
Toot Jate hain Bikhar Jate hain
Kaanch Ke Ghar Hain Muqaddar Apne
Ajnabi To Sada Pyar Se Milte Hain
Bhool Jate Hain To Aksar Apne…
`
Khuda Se Maangte To Muddatain Guzar Gayin
Kyun Na Main Usko Aaj Ussi Se Maang Loon…
`
Usko Rab Se Itni Baar Maanga Hai,
Ke Ab Hum Sirf Hath Uthatey Hain
To Sawal Farishtey Khud Hi Likh Lete Hain…
`
Agar Tum Aaina Dekho
To Apne Aap Se Nazarein Chura Lena
Ke Aksar Be-wafa Logon Ko
Jab Wo Aaina Dekhen To
Aankhen Chor Lagti Hain……

Iss dil me aa saka na koi,
Iss dil ko chura saka na ab tak koi.
Kasur isme kisi ka nahi.
Apki tarah is dil me jagah bana saka na ab tak koi…

Suraj se kaho roshni dena chhor de,
Sitaro se kaho timtimana chhor de.
Agar tum nahi aa sakte to,
apni yadon se kaho Humein satana chhor de…

Suraj se kaho roshni dena chhor de,
Sitaro se kaho timtimana chhor de.
Agar tum nahi aa sakte to,
apni yadon se kaho Humein satana chhor de…

Yeh kya naam du iss diwangi ko,
Dil ki bechainia tadapane lagi hai.
Bata kya kahu iss rawanagi se,
Jo pal pal tujhe bulane lagi hai.

Khud ko khud ki khabar na lage,
Koi accha bhi is kadar na lage
Aap ko dekha hai bas uss nazar se,
Jis nazar se aap ko nazar na lage….


“Lamhe judai ke bekarar karte hain
Halaat mere mujhe lachaar karte hain,
Aankhe meri padh lein wo kabhi
Hum khud kaise kahe ki unko kitna pyar karte hain”

Bhir hogi shahar ke har mod par,

Mujhe to soona ye shahar lagta hai.

Main to jita hun ek lash ki tarah,

Bina uske jeena muhal lagta hai…



Unki Mohabbat ke abhi nishaan baki hai,
Naam lab par hai aur jaan baki hai .
Kya hua agar dekh kar muh pher lete hai,
Tasalli hai ki shakal ki pehchaan baki hai …

Teri aankhon mein woh pyaar dikhta hai
jis pyar se baqi har ek mujhe bekar dikhta hai
zara rehne do mujhe aur us ki yadon mein doston
ke us hi yadon mein mujhe apna ghar baar dikhta hai
kaise soch kun ke mein usse pyar na karun
aakhir us ek mein hi mujhe apna pura sansaar dikhta hai
meri qismat to chhupi hai mere khwabon mein
kyunke mere har khwab mein mujhe wahi dildar dikhta hai
wo kehti ke mein na jaagun raat bhar per wo kya jaane
mein to soya rehta hun yeh mera pyar hai jo bedar dikhta hai…

Shabnam
Mila wo dost mujhe shabnam ki tarah
jiski nami se hum phisalte gaye
aur jiski tareeki mein hum jeete gaye
aur jab jaanake wo tareeki mein hai
to jal kar use roshni di samma ki tarah…