Monday 30 January 2012

Tamaam Umar Guzaar di Apne Yaar Ko Manaane Mein…

AGar Pataa Hota ki Mohabbat Ruth Gayi hai.. To Usse Manate…!!

Saturday 28 January 2012

Meri wafa pe bhi ae dost ehtabar na kar,

Muje bhi teri tarah sub se piyar karna hai...!!!

Friday 27 January 2012

Teri bewafaai mein dil bekaraar hi na karoon,
Tu hukm de to tera intezaar hi na karoon.

Tu bewafa hai to kuch iss kadar bewafaai kar,
Ke tere baad main kisi aur se pyaar hi na karoon…

Thursday 26 January 2012

Dard Itna Tha Zindagi Mein Dharkan Sath Dene Se Ghabra Gaiy".

Band Thi Ankhein Kisi Ki Yaad Mein Mout Aaiy Aur Dhoka Kha Gai...!!

Tuesday 24 January 2012

shaam ka jadoo tha ya shiddat tumhari Yaad ki

waqt tu kia mujh ko darya bhi laga thehra hua..!!

Sunday 22 January 2012

Baat Sari Itni Hy, Zindagi Ki Rahon Main..

Sath Chlnay Walon Ko Hamsafar Nahi Kehtay..

Saturday 21 January 2012

Zindagi mein kuch na de sako to na sahi.

Agr tum se pehle mar jaun to bakhshish ki dua zarur dena…!

Friday 20 January 2012

Mujh me jab bolta hai junoon yaar ka,

Phir kahan main koi guftagu karta hoon..
Uski ankho me nazar ata tha sara jahan muj ko,

magar us ki ankho me khud ko kabi dekha hi nahi...

Thursday 19 January 2012

Ussne mujhse kaha tumhari aankhen kitni khoobsurat hai.......

....meine kaha barishon ke baad mausam nikhar jateh hai..!!
Ye Maajra bhi Ajab hai meri Zindgi k saath,

Main hoon kisi k saath, Mera Dil kisi k saath

Wednesday 18 January 2012

Jate hue us shakhs ne ek ajab bad’dua si di.
.
Tujhe mile too jahan ki khushiyan par koi mujh sa na mile.