Wednesday 9 March 2011

MAA ( Mother ) - 3.


Jab umar tumhe tumhari

uss mod par le jaegi

tab dekhna tumhe yaad

MAA  ki har baat wo aayegi



wo baat baat bar poochna

ke kahin tum bhooke to nahin

baat dil mein hei, mujhse kaho

kahin mujh se roothe to nahin



koi aisa gham koi aisa dukh

bhala mujhe to tum batao beta

iss chand se chehre se tum

aansoon ko to hatao beta




jab tum pareshaan se hote ho

meri raton ki neend udh jaati hei

aankhon se mere, aansoon ki ladi

dua ban ke rab ke paas jaati hei




jab mein na rahun pareshaan mat hona

meri baton ko yaad kar ke mat rona

iss duniya mein kahan koi raha hei sada

in aankhon ko beta tum mat bhigona




mayoosion ke jab chhaye badal hon

apne dil par haath rakh lena tum

band kar ke apni aankhon ko phir

ho jana meri un yadon mein ghum




me janti hoon tumhari yadon mein

me kabhi bhi marr nahi paongi

jitna bhi tum bhoolna chaho mujhe

me utna hi tumhe yaad aaongi

No comments:

Post a Comment