Monday 7 March 2011

My favorite two lines....

1.


Dil naa-ummiid to nahii’n, na-kaam hii to hai


lambii hai Gam kii shaam, magar shaam hii to hai




2.

Tujhko paa lene me ab wo betaab kaifiat kahan

Zindagi to wo thee jo teri justju me kat gayi



3.

Ishrat-e-qatraa hai dariyaa me'n fanaa ho jaanaa

dard kaa had se guzaranaa hai davaa ho jaanaa.... 



4.

Iss ka roona nahi kion Tum ne kiya Dil Barbaad

Isss ka Ghum hai k buhaaaaat dair se Barbaad kiya


5.

Tujhse Koi Shikwa Nahi Mujhe, Na Koil Gila Hai, 

Jo Bhi Chaha Maine Zindagi Mein ,Wo Mujhe Kab Mila Hai..


6.

Dekhi hai us ki ankh main pehli dafa nami

yon lag raha jaise samander udaas hai

7.

khali hathon ko kabhi dekha hai faraz.

kis tarhan log lakiron se nikal jate hain.


8.

Ye kaun hai sar-e-saahil ki..doobne waale..

samandaron ki tahon se ..uchhal kar dekhte hain.....


9.

Woh to mazdoor hai so jayega akhbaar bichhakar,

kuch log abhi gaddo'n pe jaag rahe honge..


10.

Koi to mol lagaey meri saari hasti ka,

Kisi ki aankh k aasoo khareedny hain mjhe.......



11.

Hum Ne Roti Hui Aankhon Ko Hansaya Hai Sada,

Is Se Behtar Ibadat To Nahi Hogi Humse..


12.

Is liya Koi Zada Dair Rukta Nahi Yahan

Log Kehtay Hain Mere Dil Par Tera Saya Hai.....!!


13.

main jindagi ka bojh leke doob to gaya, 

Ruswa kia hai laas ne pani pe terkar.......


14.

Bahut Dushwar Hota Hai Kisi Ko Yun Bhula Dena,

Ke Jab Wo Shaks Shamil Ho Ragon Mein Khoon Ki Manind..


15.

Jalaa hai zism jaha dil bhi jal gaya hoga,,,

kuredte ho jo ab rakh aarzu kya hai...


16.

Janta hoon ek aise shaks ko mai bhi munir

jo gham se pathar ho gaya lekin kabhi roya nahi


17.

sar e maktal bhi teray naam k charchay hotay

to ne poochi hi nahi aakhri khawahish mujh se


18.


HUM WO ANA PARAST HAIN, JO HAAR K BHI KEHTAY HAIN!!!!


WO MANZIL HE BAD-NASEEB THE, JO HAMEIN NA PA SAKI






19.



US NAY JAAN KEH KER PUKARA TO, LARZ GAIE MAIRAY DILL KI ZAMEEN!!!


PICHAY MUR KER DAIKHA TO, WO MUKHATIB KISI OR SAY THA




19.


AJEEB RANGON MEIN GUZRI ZINDAGI APNI............


DILON PE RAAJ KYA, PHIR BHI PYAAR KO TARSAY...




20.


wo rootha tu hum bhi chup rahaye


ek baar mana lete tu roz khafa hota:-)






21.

Mujh Ko Tere Qurb Ki Khawaish Tu Hai Magar...
Ulfat Ka Jo Maza Hai Inhi Faslon Mein Hai...

                                22.
 Hum paravarish-e-lauh-o-qalam karte rahe’nge 
Jo dil pe guzaratii hai raqam karte rahe’nge 




















2 comments:

  1. بعض اوقات محبت کی تپش میں مجھ کو

    عشق بھی جلتے چناروں کی طرح لگتا ہے

    ReplyDelete
  2. Koi to mol lagaey meri saari hasti ka,

    Kisi ki aankh k aasoo khareedny hain mjhe.......



    kabeeley tareef hai iss sher ke lafj

    ReplyDelete