Monday 7 March 2011

▓ єк gυмηααм ѕнαソαя ▓

1.

"Yun rakhna mujh ko antim path par"




Antim ichha batlata hun me..


kya chahta sabse samjhata hoon me ..




marne se pehle aur  marne ke baad....




kya aarzoo hai meri rooh ki ......batlata hun me ..


Meri rooh bhi jaate jaate duaayen degi ...




jo chahta hun wo kar dena ...






"Fir is gumnaam shayar ko tum .. antim path par rakhh dena"






Ta umr  mohobbat ki hai mene.., sirf unhi ka naam liya hai mene...


khela hun unhi ki zulfon se mein ..., thehra hun unhi ke pehlu me mein ....


Jab me loon aakhri saansen ..


to bistar se uthakar .. unhi ke pehlu me rakh dena ..


"Fir is gumnaam shayar ko tum .. antim path par rakhh dena""








wo palak ke neeche aankhe meeche .. , rakhte hain mujhko sabse chupa ke ..


har lamha apne paak dil me .. , rakha hai mujhko barson se saja kar...


Beshak bichao mujhe par kafan ki chaadar ..


magar us chaadar par unki ... chunri bicha dena ..


"Fir is gumnaam shayar ko tum .. antim path par rakhh dena"








Unki aankho ki tareef me kya karun ... har mousam me barasti rehti hain ..


wo kehti hain mujhse humesha ... "tere deedar ko tarasti rehti hain"


jab meri arthi uth-ti hogi ...


Wo sisak kar., bilak kar .. ro padenge ...


Aakhri deedar hai unki bheegi aankho ka .. ..un aansuon ko rokna matt..!!..
Behne dena ..


"Fir is gumnaam shayar ko tum .. antim path par rakhh dena"..........

No comments:

Post a Comment