Thursday 19 April 2012

libaas tan se utaar dena,
kisi ko bahon k haar dena,
fir us k jazbon ko maar dena..

!Agar mohaabbat yahi hai jana,
to maaf karna mujhe nahi hai!

gunah karne ka soch lena,
aseen pariyan daboch lena,
fir uski aankhein hinoch lena..

 
!Agar mohaabbat yahi hai jana,
to maaf karna mujhe nahi hai!

kisi ko lafzon k jaal dena,
kisi ko jazbon ki dhal dena,
fir uski izzat uchaal dena..

!Agar mohaabbat yahi hai jana,
to maaf karna mujhe nahi hai!

andhair nagri main chaltey jana,
haseen kaliyan masaltey jana,
aur apni fitrat pe muskura..

!Agar mohaabbat yahi hai jana,
to maaf karna mujhe nahi hai!

1 comment: